click and start earn money

Propellerads

USE CODE (1RUPEE) FOR HOSTING IN RS.1

Friday, 9 September 2016

Unocoin Money Exchanger Wallet Kya Hai ? How to use and create account on Unocoin Wallet.?

Aaj internet ka jamana hai or maximum sabhi logo ke paas Android Mobile or PC,Desktop easy hi mil jaayege,or sath hi internet pack. Online paise kmane ke liye bahut si site`s or money making program online market me badi hi speed se apne kadam aage bada rahe hai,Jisse bahut se log inn Online site`s se jud rahe hai sath hi kai online ache rupaye bhi kma rahe hai.

Dosto ye kuch jaankari online market se related thi.

Ab hum Unocoin se related saari information ko details me jaanege,To fir chaliye.

* What Is Unocoin Wallet. ?
Unocoin Wallet ek money exchanger Indian site hai.Yah Paypal or Payza ki tarah hi work karta hai lekin kuch baate ise alag bnati hai.
Kyoki Unocoin wallet ek Coin wallet hai jisme Bitcoin ka use hone ke sath-sath sabhi tarah ki currency me convert karne ke liye use kiya jaa sakta hai.

Lekin Paypal or Payza Wallet me Bitcoin ka use nhi hai.

* How To Create Account On Unocoin Wallet.?
Unocoin Wallet Banane Ke Liye Aapke Paas Ye Document Hona Chahiye.
1. Original Scan Copy of PAN Card.
2. Original Scan Copy of Passport Size Photo.
3. Original Scan Copy of ID Proof (eg. :- Aadhar Card ,Voter ID Card ,Driving License etc.)
4. Original Scan Copy of Address Proof ( Aadhar Card ,Voter ID Card ,Driving License ,Telephone Bill etc.)
Note:-
Yadi aap scan nhi kar paa rahe hai to koi baat nhi, Yaha apne mobile camera ka use karke clear photo lekar bhi upload kar sakte hai.
Par iss baat ka dhyan rakhe ki saare document Original hone chahiye.

Unocoin Wallet par account bnane ke liye one by one niche di gai steps ko follow kare.

1. Step :- 
Sabse pahleUnocoin.com  par click kare.

Click here->> Get Free Account On Unocoin

2. Step :- 
Click karne ke baad Unocoin site par pahuch jaaoge,Yaha SIGN UP par click kare.
>> User Email ID,
>> Password .
>> Have a coupon code? :- Par click kare or ye coupon code  DAN200 dale jisse aapko 200 rupaye aapke account me add kar diye jayege.
>> I`m not a robot :- box me click kare.
>> SIGN UP kar de.
3. Step :- 
Unocoin se ek mail aapke Email account par aaya hoga.Iske liye apne email account me login kare or Unocoin se send kiye gye mail ko open kare iss mail me link hoga click kare.Ab aap Unocoin site par redirect ho jayege ,yaha Term & Condition ko accept kar le.

Yaha aapka email verify ho chuka hai ,lekin account ko verify karne ke liye niche step follow kare.
4. Step :-
Yaha par Account ko verify karane ke liye 3 step me details fillup karni hoti hai.

>> Step 1.

* Aapka Naam :- Yaha par usi naam ka use kare jo aapke original document me likha hai.
* PAN Card Number :- Ye aapka personal hona chahiye.
* Bank Account Details :- Ye bhi aapka bank account hona chahiye.
* Full Address :- Isme pura address likhe jo ki aapke original document me diya gya hai.
* Contact Number :- Yaha par apna contact no.dale,kyoki iss no. par unocoin se account ko verify karne ke liye call aayega.

Ye sab karne ke baad Next kar de.

Note :-

Yadi aapke pass inme se koi information yaa document nhi hai or aap account bnana chahte hai to app apne family member ya koi person jo aapko ye information de sake unse lekar use kar sakte hai.Par ye account signup to aap karege lekin ye sab uss person ke naam par hoga.

Ek baat or ki ye saare document ek hi person ke hone chahiye,Tab hi verify hoga.


>> Step 2.

Yaha Document ko upload karna hoga.(Scanned copy ya Clear photo bhi chalega)



* Photo :- Clear passport size photo.

* PAN Card :- Original.
* Address Proof :- Yaha address proof ke liye bahi document ka use kare jiska address Step 1 me diye gye Full Address ke jese hi ho.

Next kar de.


>> Step 3.


Yaha par saari information cross check karne ke liye dikhai jaati hai.Yadi sabhi information sahi hai to Summit kar de.

Ab aapka account verification ko Pending dikhayega.
1 se 2 din me Unocoin wallet team se call aayega ,Jisme account ko verify karne ke liye aapse kuch information puchi jaayegi ye aapke jariye dali gyi jaankari se related hi hogi (jaise Aapka naam ,Aadhar Card , PAN Card etc.)
Ye saari information puchne ke baad aapka account 1 hour me activate kar diya jaayega.Account Login kare or ye kuch option follow kare,
Bitcoins>>Transactions click karne ke baad jo page open hoga isme aapka Unocoin Permanent Wallet Address hoga , ye address hi aapke Unocoin Wallet ka account number hai.Jis tarah kisi bank ka account number hota hai.


Jaise ki mera Unocoin Wallet Address :-

39RBhCozbqE2frbEdgpLjJBDMpCVqc9Zsu

Ab aap Unocoin Wallet ka use kar sakte hai.Happy Earning.

* How To Use Unocoin Wallet. ? 

1.Trading :- 
Isme bank se rupaye add karke Bitcoin purchase kar sakte hai or sath hi Bitcoin currency se trading karke paise earn kar sakte hai.


Or inn rupaye ko apne bank account me transfer kar sakte hai.Trading ke baare me hum aane bali post me baat karenge.


2. Send & Receive Money :- 

Iska use karke curreny ko send or earn ki gyi currency ko receive kar sakte hai.



Mujhe believe hai ki aapke liye ye post useful rahi hogi,Ho sake to apne friends ko ye post share karke unki bhi help kare .Aapko Unocoin par account bnane me kuch problem ho rahi hai to comment karke puch sakte hai.

Ya mujhse contact kare :- himanshupatil029@gmail.com ,
                         Whatsapp  8236022783

Aap Unocoin Team ke Par bhi contact karke Unocoin se realed kuch bhi puch sakte hai.

Toll Free Number ; 1800-103-2646
Email : support@unocoin.com .  Thanks.


No comments:
Write comments

Translate